!.GHAZAL.!
Kabhi chaaho ge to chaahat say bulain ge tumhen,
Dard-e-dil hota hai kiya ye dikhain ge tumhen,
Muhabat hoti hai kia muhabbat ker ke dekh lena,
Phir mere pass Aana kuch or batain ge tumhen,
Kabhi na Aaayen Aankh mein Aansoo to aisa karna,
Ek shaam mere pass Aana behot rulain ge tumhe,
Her pal raho ge bechain muhabbt mein,
Khayaal ban ker pal pal satain ge tumhen,
Pochte ho jo zinda rehne ka sabab,
Chalo kisi roz tum say hi milwain ge tumhen.
- - - ->
Is Shart Pay Khelun Gi Piya Pyaar Ki Baazi,
Jeeton To Tujy Paun Haron To Piya Teri…
Her Lehza Khayaal Tera Rakhon Gi Sirf Itna,
Beth Jaoon To Bhi Teri Uth Jaoon To Bhi Teri…
Kuch Ker Loon Gi Haal Apna Aisa Hum safar,
Aaankh Lagay To Bhi Teri Aankh Khulay To Bhi Teri…
Teri Her Aaahat Pe Paa Loon Gi Tabeer Aisi,
Hans Jaon To Bhi Teri Rooth Jaon To Bhi Teri…
Mein Sath Doon Tera Kuch Aisay Jaan-E-Jahan,
Zinda Rahon To Bhi Teri Mar Jaon To Bhi Teri..!
- - - ->
Kuch Rishte Anjaane mein hi ho Jaate hein,
Pehle Dil fir Zindagi say jur jaate hain,
Kehte hain us Dour ko Pyaar,
Jis mein log Zindagi se bhi pyaare ho jaate hain…
No comments:
Post a Comment